♓ Masoom Farishta Ⓜ
Ae masoom farishte
Khol aankhen zara
Dekh toh
Aaj tu
Behison ki dunya mein
Ek naye daur ka
Ek inquilab ka
Tu hi aaghaz hai
pyaresun
Teri masoom si
Lasash ne
Darmandon ko bhi
Behishon tak ko bhi
Yun Hila rakha hai
Dekh toh
Aaj wo bhi rote hain jo
Tujh ko apne yehan
Koi bhi aasra
De na paye kabhi
Sun zara
Tu ek aaghaz hai
Aman ka
Pyar ka
Darmand jo bhi hai
Wo tadap jayega
Qaum tadpegi jab
Inquilab aayega
✏Shakeel Haneef
Hamara Malegaon
©Copyright@HMWG
www.hamaramalegaon.blogspot.com