جمعہ، 16 نومبر، 2012
AFSANA/ SHORT STORY :: WAQT
WAQT :: Ek Afsana/Short Story by SHAKEEL HANEEF ::: Sameer Kumar film director Ramesh Chopra ki office ki taraf tezi se badh raha tha. Usko yaqeen tha ki Chopra ki nayi film mein usko hero ka role mil hi jayega kyunki uske uncle Sudeep Kumar ne khud Chopra se shifarish ki thi. Sudeep Kumar apne daur ke ek intehai kamyab adakar the. Unka asl naam Yunus Khan tha magar Waqt ke taqaze ke tahet unhen apna naam Sudeep Kumar rakhna pada tha. Ye khyal aate hi Sameer Ek lamhe ke lye thatka magar phir ye soch kar wo khush ho gya k usko apne Uncle ki trah naam ka masla nahi aayega uska naam toh pahle se Sameer KUMAR hai. . . Yehi sab sochte huye wo Mr.Chopra ki office mein dakhil hua. Ummid ke ain mutabiq Ramesh Chopra ne Sameer ko apni Film ke lye Sign kar lya magar sath hi ek choti si shart rakh di k Sameer ko Waqt ke taqaze ke tahet Apna naam SAMEER KUMAR ki bajaye SAMEER KHAN rakhna hoga. . . Chopra Saheb ki ye shart sun kar Sameer sochne laga WAQT bhi kitna Ajeeb hota hai ye kisi ka nahi hota, kitni jaldi badal jata hai.
